Kaha chhup kar mujhe Muhabbat ka izhaar karna hai,
Jawab aaya soda sar-e-baazar karna hai,
Kaha aakar tera dedaar karna hai,
Jawab aaya Zamanay ka Samandar paar karna hai,
Kaha Dil saaf kerna ka tareeqa chahiye koi,
Jawab aaya tujhe her Jurm ka Iqraar karna hai,
Kaha tasleem karne k liye kya shart lazim hai?
Jawab aaya k apni zaat se inkaar kerna hai.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment